All NewsBreaking NewsDesh NewsNational News

Gaza chhorne ke baad se chawal nahi kha paayin, Palestinian journalist Roaa Shamallakh ki Aap Biti.

Gaza chhorne ke baad se chawal nahi kha paayin, Palestinian journalist Roaa Shamallakh ki Aap Biti.

Palestinian journalist Roaa Shamallakh ne bataya ke May 2024 mein Gaza se Cairo pahunchne ke baad bhi wahan ki yaadein unka peecha karti hain.

Gaza mein al-Shifa Hospital ke paas ek kamre mein unke parivaar ne gherao ke dauran panah li thi.

Woh kamra saaf karti aur oud ki khushboo phailaati thi—yeh un chand kaamon mein se tha jo unke ikhtiyar mein the, jabki bahar bombing aur tabahi jaari thi.

Ab Cairo mein oud ki khushboo unhein us kamre aur us waqt ke khauf ki yaad dilati hai. Roaa ke mutabiq, Gaza chhorne ke baad se woh chawal nahi kha paayin, kyunki uska zaiqa unhein wahan ke dardnaak halaat yaad dilata hai.

Unhone khobeiza—mallow ke patton se banne wala saag—ki khushboo ka bhi zikr kiya, jo unhein bhook ke dino ki yaad dilati hai.

Dosto , Yeh unki personal testimony h ya phir ise Aap biti keh lein, jo Mondoweiss mein 2 November 2026 ko publish hui h.

Related Posts

1 of 20,308