Haji Ali Dargah Par 3 Lakh Se Zyada Zayrin Pahunche Basi Eid Ke Din, Security Ka Full Bandobast
Eid Ul Fitr Ke Mauqe Par Har Saal Ki Tarah Iss Saal Bhi Lakhon Ki Tadaad Me Logon Ne Haji Ali Dargah Visit Kiya, Aqeedat Ki Chadar Chadayi Aur Duayen Maangi.
View this post on Instagram
Haji Ali Dargah Trust Ke Administrative Officer Mohammed Ahmed Taher Ne Gallinews Ke Saath Kuch Taaza Videos Aur Photos Share Karte Hue Bataya Ke Iss Saal Eid Ke 2nd Day Yaani Ke Basi Eid Ko 3 Lakh Se Zyada Zayrin Ne Haji Ali Dargah Visit Kiya.
Sath Hi Bataya Ke Itni Badi Tadaad Me Aaye Zayrin Ki Safety Aur Security Ke Liye Mumbai Police Ka Sakht Bandobast Tha, Sath Hi Haji Ali Dargah Trust Ki Bhi Puri Tayaari Thi.
Haji Ali Dargah Trust Ki Taraf Se 200 Volunteers, 25 Swimmers, 78 CCTV Cameras, 6 CCTV Camera Operators, First Aid Facility, Barricades & Rope Etc. Aur Dargah Ke Road Wale Main Gate Ke Sath Dargah Compound Me Public Announcement System Bhi Arrange Kiya Gaya Tha.
#HajiAliDargah #EidUlFitr #BasiEid #Mumbai #Zayrin #Aqeedat #Security #MumbaiPolice #Dargah #IslamicFaith #ReligiousVisit #CCTV #SafetyMeasures #Volunteers #Spirituality #Blessings