All NewsBreaking NewsMumbai

Hajj Ke Liye Bachche Not Allowed, India Sahit 14 Deshon Ko Single Entry Visa Lagoo Kiya Saudi Arab Ne

Hajj Ke Liye Bachche Not Allowed, India Sahit 14 Deshon Ko Single Entry Visa Lagoo Kiya Saudi Arab Ne

Saudi Arab Hukumat Ne Hajj 2025 Ke Liye Naye Rules Regulations Banaye Hain Jisme Iss Saal Bachchon Ke Liye Hajj Par Ban Lagaya Gaya Hai. Iss Ka Maqsad Sirf Yeh Hai Ke Hajj Ke Waqt Hone Wale Massive Crowd Se Bachchon Ko Bachaya Jaye. Bachchon Ki Suraksha Aur Bhalai Ke Liye Yeh Qadam Uthaye Gaye Hain.

 

View this post on Instagram

 

Advertisement

A post shared by GalliNewsIndia (@gallinews_com)

Saudi Arab Ne Iss Saal Unauthorized Hajj Pilgrims Par Rok Lagane Ke Liye 14 Deshon Ki Multiple Entry Par 1 February 2025 Se Rok Laga Di Hai Aur Sirf Single Entry Visa Allow Kiya Hai.

Advertisement

Saudi Arab Ke Single Visa Policy Ka Asar India Sahit Algeria, Bangladesh, Egypt, Ethiopia, Indonesia, Iraq, Jordan, Morocco, Nigeria, Pakistan, Sudan, Tunisia Aur Yemen Par Padega. Inn Deshon Ka Multiple Entry Visa Filhal Suspend Kar Diya Gaya Hai.

Sath Hi Saudi Arab Hukumat Ne Bataya Ke Hajj 2025 Me Pehle Unn Logon Ko Preference Diya Jayega Jo Pehli Baar Hajj Karne Jaa Rahe Hain.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker