All NewsBreaking NewsCrime GalliMumbai

Hindi Nahi Hai Mandatory, Marathi Hi Compulsory: Maharashtra Minister Ashish Shelar

Hindi Nahi Hai Mandatory, Marathi Hi Compulsory: Maharashtra Minister Ashish Shelar

Mumbai ke BJP leader aur Cultural Affairs Minister Ashish Shelar ne 23 June 2025 ko ek bada clear statement diya hai. Unhone kaha ki Maharashtra ke schools mein Hindi mandatory nahi hai, aur sirf Marathi hi compulsory language rahegi

 

Advertisement

 

View this post on Instagram

 

A post shared by Gallinews India (@gallinews_com)

Advertisement

Yeh baat unhone tab kahi jab state mein Hindi ko third language banane ko lekar bada row chal raha tha

 

Shelar ne press conference mein kaha ki pehle Class 5 se 8 tak Hindi compulsory thi, lekin ab unki sarkar ne yeh compulsion hata diya hai. Ab Hindi ko optional third language banaya gaya hai, jahan students apni marzi se choose kar sakte hain.

 

Shelar ne yeh bhi kaha ki BJP Marathi language ka strong supporter hai aur students ke welfare ko bhi priority deti hai. Unka kehna hai ki National Education Policy (NEP) ke hisaab se third language optional hai, aur isme Hindi sirf ek choice hai

 

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button