HMPV Ka Cases Ahmedabad Aur Lucknow Me Bhi Detect Kiye Gaye, Doctors Ne Kaha All Is Well
View this post on Instagram
China Me Pahile Human Metapneumovirus (HMPV) Infection Ki Khabron Ke Baad Duniya Bhar Ke Deshon Ne Iss Beemari Ko Monitor Karna Shuru Kiya Aur Isski Roktham Ki Tyaari Shuru Kardi.
India Me Haal Hi Me Gujarat Ke Ahmedabad Me Ek 80 Yrs Old Shaks Ka HMPV Test Positive Paaya Gaya, Bataya Ahmedabad Municipal Corporation (AMC) Ne.
AMC Ne Bataya Ke Filhal Yeh Shaks Ek Private Hospital Me Admit Hai Jahan Uska Illaj Chal Raha Hai Aur Iss Shaks Ko Koi Travel History Nahi Hai.
Wahin Uttar Pradesh Ke Lucknow Ke Cant Area Me Rehne Wali 60 Yrs Old Mahila Ka HMPV Test Positive Paaya Gaya Hai, Jinka Illaj Balrampur Hospital Me Chal Raha Hai.
Khabron Ke Anusar Tamil Nadu, Andhra Pradesh, Uttar Pradesh, Gujarat, Rajasthan, Maharashtra Sahit Ab Tak Desh Bhar Me HMPV Ke Cases Detect Kiye Gaye Hain.
hmpv, ahmedabad, lucknow, humanmetapneumovirus, mumbainews, healthalert, indiahealth, covid19, healthupdate, virusdetection, doctorssayalliswell, diseasemonitoring, medicalnews