All News

*Iran-America ke beech phir bhadki jang, Trump ne kaha Ceasefire khatam; Iran ne jawabi hamle ki dhamki di.*

 Iran-America ke beech phir bhadki jang, Trump ne kaha Ceasefire khatam; Iran ne jawabi hamle ki dhamki di.

 

Iran aur America ke beech ek baar phir jang tez ho gayi hai. America ne lagataar doosre din bhi Iran par bade paimane par airstrike ki. US Central Command (CENTCOM) ka daawa hai ki usne Iran ke kareeb 90 military thikano ko nishana banaya. In hamlon mein Iran ke Ahvaz shehar mein 3 logon ki maut hui hai.

Iske baad Iran ne daawa kiya ki usne Qatar, Kuwait aur Bahrain mein maujood Ameriki military bases par drone hamle kiye.

Irani fauj ke mutabik, hamlon mein Kuwait ke Patriot missile system, Qatar ke Early Warning Satellite Antenna aur Bahrain mein Ameriki fauj ke fuel tank ko nishana banaya gaya.

Iran ka kehna hai ki in hamlon ke liye badi tadaad mein drones ka istemal kiya gaya.

Iran ne yeh bhi daawa kiya hai ki usne America ke missile aur radar system ko bhi nuksaan pahunchaya hai. Halaanki, is daawe ki ab tak America ki taraf se pushti nahi hui hai.

Irani sena ne saaf kaha hai ki agar America hamle jaari rakhta hai to woh bhi uska munh tod jawab deti rahegi.

Dusri taraf, Ameriki President Donald Trump ne kaha ki ceasefire khatam ho chuka hai. Unka daawa hai ki Iran samjhauta karna chahta hai, lekin unhe is baat par bharosa nahi hai ki Tehran kisi bhi samjhaute ka paalan karega.

Iran ki Parliament ke Speaker Mohammad Baqer Ghalibaf ne America ko sakht chetavni dete hue X par likha, “Hamla karoge to jawab bhi milega.”

Unhone kaha ki ab America ki dhamkiyon aur vaada khilaafi ki keemat chukani padegi. Saath hi unhone yeh bhi kaha ki Hormuz Strait America ke dabaav se nahi, balki Iran ki sharton par hi khulega.

*Aap apne comments hamein zarur kijiye aur more updates k liye Galli news par bane rahiye.*

Related Posts

1 of 16,407

Discover more from Gallinews India

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading