Juice Shop Ko Band Karane Ki Saazish Ka Khulasa, CCTV Se Sach Samne Aaya

Juice Shop Ko Band Karane Ki Saazish Ka Khulasa, CCTV Se Sach Samne Aaya
Moradabad, Uttar Pradesh: Budh Bazaar area me ek juice aur cold drink shop ko lekar badi saazish ka khulasa hua hai. Talha naam ke vyakti ki shop par customers ki bheed rehti thi, jis wajah se ek padosi dukandaar allegedly jalan mehsoos kar raha tha.
Aisa Bataya Jaa Raha Hai Padosi dukandaar ne safai karmiyon ko paise dekar Talha ki shop ke saamne dustbin ka kachra failwaya
Phir Swachh Bharat Mission ke naam par gande mahal ka aarop lagaya
Nagar Nigam me complaint karke action ki maang ki
Nagar Nigam officials ne Talha ko notice jaari karke shop khali karne ka pressure banaya.
Talha ne shop band karne se inkaar kiya aur matter police tak pahucha. Police ne jab CCTV footage check kiya to safai karmchariyon ko dustbin ka kachra raste me failate hue dekha gaya. Iske baad poori saazish ka pardafash ho gaya.



