Laadki Bahin Yojna April Ka Paisa Kab Milega? 8 Lakh Behno Ko Sirf ₹500? Jaane Kya Hai Naya Update!
View this post on Instagram
Maharashtra Me Assembly Election Se Pehle Laadki Bahin Yojna Shuru Ki Gayi Thi Jisme Mahilao Ko ₹1500 Mahina Dena Shuru Hua, Aur Election Jeetne Ke Baad ₹2100 Dene Ka Vaada Kiya Gaya Tha.
Lekin Election Ke Baad Rajya Sarkar Par Aarthik Boojh Badh Gaya Aur Bahut Saari Laadki Behno Ke Form Reject Kar Diye Gaye, Jiska Asar Direct Yojna Ke Labharthiyon Par Pada.
Ab Nayi Khabar Ye Hai Ki Jinn Mahilao Ko Namo Shetkari Yojna Aur Laadki Bahin Yojna Dono Ka Labh Mil Raha Hai, Un Qareeb 8 Lakh Behno Ko Sirf ₹500 Hi Diye Jayenge.
April Mahine Ka Paisa Account Me Kab Aayega Iska Official Announcement Ab Tak Kisi Bhi Netaa Ne Nahi Kiya Hai, Lekin Aisi Sambhavana Hai Ki 30 April Ko Akshaya Tritiya Ke Mauke Par Paisa Release Kiya Jaayega.
LaadkiBahinYojna, MaharashtraNews, YojnaUpdate, ElectionPromise, FinancialBurden, NamoShetkariYojna, WomenWelfare, AprilPaymentUpdate, AkshayaTritiya, CMStatement, YojnaNews, PublicConcern, MahilaSahayYojna, MaharashtraPolitics, YojnaBenefits, DeshKiTazaKhabar, GovernmentSchemes, WomenEmpowerment, YojnaFormReject, BJPGovernment