Laadki Behin Yojna – Lakhon Beheno Ko Ab Paise Nahi Milenge Ki Khabar, Scrutiny Ke Baad Beneficiaries Honge Kam
View this post on Instagram
Maharashtra Me Hue Assembly Election Ko Dhyan Me Rakhte Hue Mahayuti Sarkar Ne Mukhyamantri Laadki Behin Yojna Lagoo Kiya Tha.
Iss Yojna Ke Tehat Needfull Mahilaon Ko ₹1500 Month Diya Ja Raha Tha, Lagbhag Sabhi Forms Bharne Wali Mahilaon Ko Paisa Diya Gaya.
Election Me Iss Yojna Ka Faida Mahayuti Sarkar Ko Hua Aur Ek Baar Phir Mahayuti Ki Sarkar Banjayi, Lekin Ab Iss Yojna Ka Financial Bojh Rajya Sarkar Ko Uthana Pad Raha Hai.
Khabron Ke Anusar Rajya Ke Iss Financial Load Ko Kam Karne Ke Liye Laadki Behin Yojna Ke Beneficiaries Ki Scrutiny Ki Jayegi Aur Yojna Ke Rules Ke Antargat Sirf Needfull Mahilaon Ko Hi Paisa Diya Jayega.
Aisa Mana Jaa Raha Hai Ke Qareeb 2.46 Crore Beneficiaries Me Se Scrutiny Ke Baad Lagbhag 60 Lakh Mahilaon Ka Naam Iss Yojna Ki List Se Hat Jayega Jinhe Paise Nahi Milenge.