Lakes Mein Sirf 7% Paani, BMC Aur Water Cut Badha Sakti Hai
Mumbai mein paani ka sankat aur gahraata ja raha hai. BMC ke latest data ke mutabik, shehar ko paani supply karne wali 7 lakes mein sirf 7.08% paani bacha hai. Agar catchment areas mein jaldi achhi barish nahi hui, to BMC maujooda 10% water cut ko aur badha sakti hai
Paani ki kami ko dekhte hue Maharashtra Sarkar ne Upper Vaitarna aur Bhatsa se reserve water release karne ki manzoori di hai. Iske bawajood BMC ne saaf kiya hai ki agar baarish mein sudhaar nahi hua, to water cut aur commercial water restrictions badhayi ja sakti hain.










