Maharashtra Assembly Budget Session 2023-24 Aaj Se Shuru 9 March Ko State Ka Budget Pesh Kiya Jayega
Maharashtra me Shivsena party ke 2 tukde hone ke baad CM Eknath Shinde aur Deputy CM Devendra Fadnavis sarkar ka pehla Budget session aaj se shuru hua
GALLINEWS SHORTS NEWS PRESS LINK
Maharashtra me Mehngai Kisano ko hone wale nuqsan aur uski bharpai, berozgari, Pension yojna jaise bahut se muddon ko lekar charcha ki jaa sakti hai
9 March ko Maharashtra ke Budget pesh kiya jaayega jiss se rajya ke kis sector ko kitna fayda ya nuqsan hoga Aam janta ko kiya benifit milega iss ka sabhi ko intezar hai
Maharashtra Assembly Budget Session 2023-24 ke dauran 16 MLA’s ki disqualification ko lekar Shivsena party ka court me chal raha case, aur Pune me 2 MLA seat Kasba Peth aur Chinchwad me hue By poll Election ke result ko lekar pakash Vipaks me yuktiwad hosakta hai
Maharashtra ke bahut se bade shehron me aane wale dino hone wale Municipal Corporation election ko dhyan me rakhte hue iss budget me sarkar bade ailan kar sakti hai
2024 me Assembly Election aur Parlimentary Election sath me hone ke chances hai jise dekhte hue Shinde sarkar ka yeh Maharashtra Assembly Budget Session 2023-24 aakhri budget ho sakta hai