
Maharashtra Mein Corona Ka Kahar! 89 Naye Cases, Mumbai Sabse Aage
View this post on Instagram
Advertisement
Maharashtra mein ek baar phir COVID-19 ke cases badhne se health authorities alert ho gaye hain! Tuesday, June 10, 2025 ko state mein 89 naye corona cases report hue, jisme Mumbai mein sabse zyada 32 cases mile
Health department ke data ke mutabiq, Maharashtra mein ab 1,593 total cases ho chuke hain January 2025 se, jisme Mumbai akela 719 cases ke saath top pe hai. Pune mein 31, Pimpri-Chinchwad mein 7, aur Thane mein 6 cases aaye
State ke active cases ab 595 hain, aur 749 patients ne recently recovery ki hai. Is saal ab tak 19 deaths report hui hain, lekin 18 logon ko pehle se hi serious illnesses thi, jaise cancer ya diabetes
Mumbai ke hospitals ko alert mode pe rakha gaya hai, aur BMC ke administrator Bhushan Gagarani ne testing aur monitoring badhane ke orders diye hain. Centre ne states ko oxygen, beds, aur ventilators ready rakhne ko kaha hai
MaharashtraCovidUpdate, MumbaiCovidCases, CoronaAlert, CovidInMumbai, CovidResurgence, BMCUpdate, HealthAlert, CovidCases2025, PuneCovidUpdate, ThaneCovidCases, Covid19India, BhushanGagarani, CovidRecovery, CovidDeaths, OxygenPreparedness, CoronaNews, MaharashtraHealth