All NewsBreaking NewsMumbai

Makka m mila h khazana, Saudi Arab ki sarkari company Maaideen n kiya dawa.

Makka m mila h khazana, Saudi Arab ki sarkari company Maaideen n kiya dawa.

Adaab aap dekh rahe h Galli news.

Nazreen karam,
Jaisa k aap sab jante h k Saudi arab duniya bhar m Tel supply karne wala kaamyaab mulk h.

Kaaba aur Madina sharif do aisi jagah h jo puri duniya bhar k musalmano k dilo m basta h. Is mulk ki fiza m bhi barkat h aur ye kehna ghalat na ho ga ki yaha ki zameen bh sona ugalti h.

Saudi Arab k sarkar company Maaideen n ye elan kiya h k Makka m ek zameen s khudai k doran unne Sona mila h jo taadaad m bohot zayada h.

Ab tak Arab mulk tel k karobar par muhassir tha lekin ab sone ki khazan haath lagte hi Saudi arab k Prince Mohamned bin Salman n apna ek vision rakha h jis ka naam h vision 20,30 .Is vision ka maqsad 2030 tak saudi arab ko economically aur bhi zayada taqatwar banana h.

Sarkari company maadin ka kehna h ki ye khazana vision 20 30 ko aur bhi kaamyab banaye ga .
Maadin n kaha h ki use 100 kilo meter ki paati m Sone ka bhandar mila h.ye Patti Saudi k al khurma m mojud h.

Maadin n kaha h ki ye unki takniki lehaz s ab tak ki sab s badi kaamyaabi h .ab tak yeha s 2 laakh sona nikala ja chuka h aur yaha har saal 7000 kilo tak sona nikala ja sakta h.

Aap ki is khabar par ky rai h hamein comments kar k zarur batayein aur is tarah ki mazeed khabro k liye Galli news par bane rahe.

Related Articles

Back to top button

Discover more from Gallinews India

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading