Marathi Sign Board 2 Month Me Lagana Hoga Shop, Mall Hotel Office Walon Ko Mumbai Me Supreme Court Ne Diya Faisla
Maharashtra me Marathi Bhasha me sabhi Shop, Mall Hotel, office establishments walon ko lagana compulsory kiya tha Maharashtra sarkar ne
GALLINEWS SHORTS PRESS LINK
Maharashtra sarkar ke iss order ko BMC ne sakhti se lagoo karte hue sabhi Shop, Mall Hotel, office establishments walon ko ek muddat di thi aur sign board change karne kaha tha, Muddat khatam hone par karwai ka ishara bhi diya tha
BMC ke iss order par Federation of retail traders walon ne Bombay High Court ka rukh kiya tha jahan Bombay High Court ne Maharashtra sarkar ki baat manne kaha tha
Bombay High Court se nirash hokar federation of retail traders walon ne Supreme court ka darwaza khatkhataya
Supreme court me iss case ki sunwai karte hue bench of justices BV Nagarathna aur Ujjal Bhuyan ne federation of retail traders walon ko 2 Month me Dussegar Diwali se pehle apni apni shhop par Marathi me sign board lagane ka order diya hai
Maharashtra sarkar ke mutabiq state me sabhi Shop, Mall Hotel, office establishments walon ko sign board Marathi Font me hona mandatory kiya hai,
Sath hi bataya gaya hai ke Marathi ke sath dusre language ke font me bhi signboard par naam likh sakte hain sabhi Shop, Mall Hotel, office establishments wale lekin dusri Language se likha naam Marathi Font se likhe naam se chota hona chaiye
Maharashtra me Marathi bhasha ko promot karne ke liye Maharashtra sarkar ne yeh faisla liya tha Misal ke taur par Gujrat me Gujrati, Punjab me Punjabi south me wahan ki regional languages ke font me Signboards hote hain
MNS Supremeo Raj Thackeray ne supreme court ke iss faisle ka swagat kiya aur sabhi shop walon ko Supreme Court ke iss order ko mante hue 2 month me sign board marathi font me karne ki appeal kiya