Mehngai Ka Jhatka – Bijli Ka Bill Hua Mehnga Maharashtra Me, MERC Ne Nayi Unit Rate Lagoo Kiya
Maharashtra Electricity Regulatory Commission (MERC) Ne 1 April Se New Unit Rate Lagoo Kardiya Hai Jiss Se Ab Aane Wale Bijli Ke Bill Me Logon Ko Unke Use Ke Hisab Se Badhotri Dekhne Milegi.
0 Se 100 Unit Ke Liye Ab Tak Rs 5.58 Per Unit Chukana Padta Tha Jo Ab 30 Paisa Per Unit Badhkar Rs 5.88 Hogaya.
Ab 101 Se 300 Unit Tak Ke Liye Logon Ko Rs 11.46 Per Unit Chukane Honge, 301 Se 500 Unit Tak Rs 15.72 Paise Per Unit Aur 500 Unit Se Zyada Electric Use Karne Walon Ko Rs 17.81 Paise Dene Honge.
Garmi Ke Mausam Me Log Aksar Zyada Electricity Use Karte Hain. Aise Me Maharashtra Me Bijli Ke Bill Ke Badhne Se AC Me Baithe Hue Logon Ke Bhi Paseene Zaroor Chootenge.