Mehngai Ke Chalte MP Logon Ki Salary 24 Percent Badhayi Gayi, Basic Salary Rs 1 Lakh Se Ab Rs 1 Lakh 24 Hazar Hui
View this post on Instagram
Delhi Me Chal Rahe Desh Ke Budget Session Me Members Of Parliament Ki Salary Ko Badhane Ki Manzoori De Di Gayi Hai.
Badhti Mehngai Ke Chalte Pichle 2 Saal Se Pending Salary Hike Ka Mudda Clear Kiya Gaya Aur 1 April 2023 Se Sansad Logon Ki Basic Salary 24 Percent Badhayi Gayi, Jis Se Ab Sansad Ki Basic Salary Rs 1 Lakh Se Badhkar Rs 1 Lakh 24 Hazar Ho Gayi Hai.
Aur 1 April 2023 Se 31 March 2025 Tak Pichle 2 Saal Ki Badhi Hui Salary Rs 5.76 Lakh Bhi Diya Jayega.
Yeh Hi Nahi, Parliament Session Ke Dauran Milne Wala Daily Allowance Rs 2,000 Se Badhakar Rs 2,500 Kar Diya Gaya Hai. Monthly Pension Bhi 24 Percent Badhayi Gayi Hai, Jo Rs 25,000 Se Ab Rs 31,000 Ho Gayi. Har 5 Saal Se Zyada Service Par Additional Pension Rs 2,000 Se Badhakar Rs 2,500 Per Month Kiya Gaya Hai.
Iss Se Pehle 2018 Me Sansad Logon Ki Salary Badhayi Gayi Thi.
MPSalaryHike, ParliamentNews, BudgetSession, SalaryIncrease, IndiaPolitics, GovernmentUpdates, PublicMoney, AllowanceHike, PoliticalNews, BreakingNews, LatestUpdates, MehngaiImpact, EconomyNews, SalaryHike2024, IndiaUpdates, TrendingNews, MPsSalary, PensionHike, DelhiNews, FinancialNews