Milk Production Badhane Ke Liye Animals Ko Diya Jaane Wale Oxytocin Injections Worth Rs 1.59 Lakh Ke Sath 1 Arrested At Thane Kalyan
Thane Crime Branch Zone 3 Kalyan Ko Khabar Milne Par Koi Gayi Karwai Mein Bade Paimane Par Oxytocin Injections Ke Sath Police Ne Ek Shaks Ko Arrest Kiya.
View this post on Instagram
Mili Jankari Ke Anusar Oxytocin Injections Ko Doodh Dene Wale Animals Jaise Cow Aur Buffaloes Se Milk Production Badhane Ke Liye Istemal Kiya Jaata Hai Animal Doctors Ki Salah Par.
Zyada Doodh Ke Chakkar Mein Zabardasti Oxytocin Injections Dena Animals Aur Insaan Dono Ke Liye Health Ke Liye Hanikarak Hai.
Thane Police Crime Branch Ne Illegally Oxytocin Injections Ke Sath Ek 50 Yrs Old Shaks Ko Arrest Kiya, Jiske Pass Se 1067 Oxytocin Injections Ki Bottles Baramad Ki Gayin, Jiski Value Rs 1,59,798 Batayi Ja Rahi Hai.