Mulund Mein Pani Sankat Par Handa Morcha
Mulund area mein severe water shortage ke khilaf aaj bada protest dekhne ko mila. MNS, RPI aur Vanchit Aghadi ke joint under mein Mulund T Division office par “Handa Morcha” nikala gaya, jismein hazaron ki sankhya mein log shamil hue.
Andolankariyon ne prashasan par lagataar ignore karne ka aarop lagaya aur pani supply issue ko lekar naraazgi jatayi. Protest ke dauran situation aur garam ho gayi jab nagrikon ne T Office ke bahar “Matka Phodo Andolan” karke apna gussa zahir kiya.










