Wednesday, November 4, 2026

BREAKING

All NewsBreaking NewsMumbai

Mumbai: 1992 JJ Hospital Shootout Case Mein Businessman Farooque Mansoor Ki Bail Arzi Kharij.

Mumbai: 1992 JJ Hospital Shootout Case Mein Businessman Farooque Mansoor Ki Bail Arzi Kharij.

Mumbai ki Special TADA Court ne 1992 ke JJ Hospital shootout case mein businessman Farooque Yasin Mansoor ki bail arzi kharij kar di hai.

Mansoor par is shootout mein shamil hone ka aarop hai. Woh 1993 ke Mumbai serial bomb blasts case mein bhi aaropi hain. Unhe Dubai se extradite karke 8 March 2018 ko Mumbai laya gaya tha.

Mansoor ne lambi jail aur trial mein deri ka hawala dete hue bail maangi thi. Lekin court ne kaha ki trial mein deri ka zyada hissa khud Mansoor ki taraf se maangi gayi adjournments aur COVID-19 pandemic ki wajah se hua.

Court ne bail dene se inkaar karte hue prosecution aur defence ko trial jald poora karne mein sahyog karne ka nirdesh diya.

Aap ko batadein,

Yeh shootout 12 September 1992 ko hua tha, jismein gangster Shailesh Haldankar aur do police constables ki maut hui thi, jabki kuch log zakhmi hue the.

Police ke mutabik, yeh Arun Gawli aur Dawood Ibrahim gang ke beech dushmani ka natija tha.

Related Posts

1 of 19,451