Mumbai Airport Par Bangkok Se Aaye 2 Bhutanese Nagrik Giraftar, Chocolate Packaging Mein Kareeb 3 Kilo Ganja Baramad.
Mumbai ke Chhatrapati Shivaji Maharaj International Airport par Customs ki Air Intelligence Unit ne Bangkok se aaye do Bhutanese nagrikon ko alag-alag karwai mein giraftar kiya.
Dono ke luggage se chocolate packaging mein chhupaya gaya kareeb 3 kilo cannabis (ganja) baramad hua. Pehle aaropi se 1,452 gram aur doosre se kareeb 1,500 gram cannabis mila.
Customs officials ke mutabiq, dono ko international drug syndicates ne drug mule ke taur par istemal kiya tha.
Maamle mein foreign aur local handlers ki talash jaari hai.