MUMBAI | Andheri MIDC Mein 14 Saal Ke Ladke Se Water Tanker Ka Bhishan Accident, Car Aur Building Ki Deewar Ko Maari Takkar
Mumbai ke Andheri East ke MIDC ilaqe mein 14 saal ke ek nabalig ladke se water tanker chalate waqt bhishan accident hua.
Subah kareeb 4:30 baje Mahakali Road par tanker se control chhoot jaane ke baad tanker ne sadak ke kinare khadi ek car aur building ki deewar ko zor se takkar maar di.
Is haadse mein nabalig driver ko mamooli chot aayi hai, jabki car aur tanker ko kaafi nuksan hua hai.
Is ghatna ka CCTV footage saamne aaya hai.
14 saal ke nabalig ladke ko tanker chalane ke liye kisne diya, iski jaanch MIDC Police kar rahi hai.