Mumbai Local: 3 Saal Mein Train Safar Mein Mauton Ki Sankhya Chonkane Wali, Central Railway Ke In Stations Par Sabse Zyada Maut!

Mumbai Local: 3 Saal Mein Train Safar Mein Mauton Ki Sankhya Chonkane Wali, Central Railway Ke In Stations Par Sabse Zyada Maut!
View this post on Instagram
Advertisement
Mumbai ki lifeline kahi jaane wali local trains mein last 3 saalon mein 7,560 logon ki maut ho chuki hai, aur yeh figure dil dhadka dene wala hai
Yeh data Mumbai Railway Police (GRP) ne RTI ke tahat diya hai, jisme saaf hua ki Central Railway ke routes par accidents sabse zyada hue hain. 7,293 log is dauraan ghayal bhi hue hain
Bheed, limited trains, station entrances par security ki kami, aur tracks ke paas barricading na hona iski wajah bataayi ja rahi hai
Central Railway ke Thane aur Kalyan ke beech sabse zyada mauten hui hain. 2024 mein Thane mein 68 aur Kalyan mein 116 logon ki maut hui, jabki 157 aur 107 log wahan ghayal hue
Total 387 deaths aur 788 injuries Thane-Kalyan section mein report hui hain. Zyadatar cases mein log chalti train se gir kar ya tracks cross karte waqt marte hain. Social media par log isse “maut ki patari” keh rahe hain aur railway administration par sawal utha rahe hain
Experts ka kehna hai ki bheed-bhaad aur infrastructure ki kami iski asli wajah hai. Kuch areas mein platform zyada chhote hain, jahan har din 80 lakh log safar karte hain. Railway ne safety measures jaise automatic doors aur zyada trains ki baat ki hai, lekin abhi tak ground par asar nahi dikha. Logon mein gussa hai, aur kuch isse railway ke poor management ka natija maante hain
MumbaiLocal, CentralRailway, TrainAccidents, Thane, Kalyan, RailwaySafety, GRPReport, Overcrowding, InfrastructureCrisis, MautKiPatari, MumbaiNews, PublicTransportCrisis