Mumbai Mai Sirf 40 Dino ka Paani Bacha hai, Barish nahi hui toh water cut Badh Sakta hai
Mumbai mein paani ki samasya gahraati nazar aa rahi hai. Shehar ko paani supply karne wale reservoirs ka water stock girkar sirf 10.72% reh gaya hai. Monsoon ke der se pahunchne ke kaaran (BMC) ab aur sakht water-saving measures par vichar kar rahi hai.
15 May se hi Mumbai mein 10% water cut lagu hai. Ab BMC construction sites, clubs, swimming pools aur anya establishments mein potable water ke istemal par aur restrictions lagane ki taiyari kar rahi hai.
Roadside vehicle washing par bhi action liya ja sakta hai
Mumbai mein monsoon ki expected arrival date 11 June thi, lekin ab significant rainfall activity 25 June ke aas-paas aane ki sambhavna batayi ja rahi hai.










