Mumbai Me Petrol Diesel Vehicles Bandh Karne Ki Tyaari? Badhte Pollution Ko Lekar Ki Jaayegi Study
View this post on Instagram
Mumbai Ki Hawa Pichle Kuch Month Se Bahut Zyada Kharab Hai Aur Iss Badhte Air Pollution Ko Under Control Karne Ke Liye Naye Naye Tarike Dhoonde Jaa Rahe Hain
Air Pollution Ki Ek Bahut Badi Wajah Gaadiyon Se Nikalne Wala Dhunwa Bhi Hai Jise Dekhte Hue Mumbai Metropolitan Region (MMR) Me Petrol Diesel Gaadiyon Par Rok Lagaya Ja Sakta Hai Aur Sirf CNG Ya Electric Vehicles Hi Chalaya Jaayega
Iss Baat Ko Lekar Rajya Sarkar Ne IAS Officer Sahit 7 Members Ki Committee Banayi Hai Jo Qareeb 3 Months Me Study Karke Report Tyaar Karenge
IAS Officer Sudhir Kumar Iss Committee Ko Lead Karenge Isme Transport Commissioner, Traffic Joint Police Commissioner, Mahanagar Gas Limited Ke MD, Power Distribution Company Ke Project Manager, Society of Indian Automobile Manufacturers (SIAM) President Aur Joint Transport Commissioner Sahmil Hain
MumbaiPollution, AirPollution, ElectricVehicles, CNGVehicles, MumbaiTransport, PollutionControl, SustainableTransport, GreenMumbai, ClimateChange, EnvironmentalStudy, MMR, TransportationRevolution