Mumbai Mein Bomb Threat Se Hadkamp, Bombay High Court, BSE, Worli Racecourse Aur Amitabh Bachchan Ka Jalsa Bungalow Bhi Nishane Par.
Mumbai mein 6 November ko bomb dhamki milne se security agencies alert ho gayi.
Bombay High Court ko bheje gaye ek threatening email mein Bombay Stock Exchange (BSE), Worli Racecourse aur Bollywood actor Amitabh Bachchan ke Juhu sthit bungalow Jalsa ko bhi bomb se udaane ki dhamki di gayi.
Iske baad Mumbai Police aur Bomb Detection and Disposal Squad (BDDS) ne chaaron locations par security checks aur talashi li.
Police ke mutabiq, jaanch ke dauraan koi bhi sandigdh cheez ya explosive nahi mila aur dhamki ko afwah yani hoax paya gaya.
Cyber Police email ki IP address aur technical details ki jaanch kar rahi hai, taaki bhejne wale ki pehchan ho sake. Gaurtalab hai ki Amitabh Bachchan ke ghar ko pichhle kuch hafton mein doosri baar dhamki mili hai.