All NewsBreaking NewsMumbai
Mumbai Mein Monsoon Landslide Se Bachayega ‘Lohe Ka Kavach’! MHADA Ka Bada Campaign Shuru

Mumbai Mein Monsoon Landslide Se Bachayega ‘Lohe Ka Kavach’! MHADA Ka Bada Campaign Shuru
Monsoon Mein Landslide Ke Khatre Se Bachane Ke Liye MHADA Ne Ek Game-Changer Campaign Shuru Kiya Hai – ‘Lohe Ka Kavach’! Iske Under, Mumbai Ke 42 High-Risk Zones, Khas Kar Slum Areas Mein, Swiss-Technology Steel Nets Lagaye Ja Rahe Hain.
View this post on Instagram
Advertisement
MHADA Aur SRA Ne Mumbai Ke Landslide-Prone Areas, Jaise Kurla Saki Naka, Malad Ke Malwani, Kandivali, Borivali, Bhandup, Vikhroli, Aur Ghatkopar Ke Hilly Slums, Mein Steel Safety Nets Lagana Start Kiya Hai.
Advertisement
Yeh Swiss-Tech Nets Lohe Ka Kavach Ki Tarah Kaam Karenge, Jo Bhari Barish Mein Pathar Aur Malbe Ko Rokenge, Taaki Jan-Mall Ka Nuksaan Na Ho. Iske Saath Hi, In Areas Ke Residents Ko SRA/MHADA Zones Mein Permanent Housing Ke Liye Relocate Bhi Kiya Ja Raha Hai.