Mumbai Mein Raat Bhar Musaladhar Barish! Andheri, Malad Aur Mulund Mein Waterlogging
Mumbai mein raat bhar hui tez barish ke baad Monday subah kai ilaakon mein waterlogging aur traffic jam dekhne ko mila. Andheri, Malad, Mulund, Jogeshwari, Kurla aur Kanjurmarg samet kai low-lying areas mein paani bhar gaya
Sabse zyada asar Andheri aur Malad Subways par dekhne ko mila, jahan paani bharne ki wajah se kuch der ke liye traffic rok diya gaya. Baad mein BMC aur traffic authorities ne paani nikalne ke baad traffic dobara shuru kar diya.
Mumbai ke saath Navi Mumbai, Thane aur Bhiwandi ke kai ilaakon mein bhi waterlogging ki reports saamne aayi hain










