Mumbai Police Ne ₹1.67 Crore ke Chori ke Samaan Aur 344 Mobile Phone Wapis Kiya
[ads]
Mumbai ke Zone 10 mein ek special ceremony mein, police ne chori ke vibhinn cases mein recover kiye gaye items ko unke asli maalik ke haathon mein wapas kiya
View this post on Instagram
is ceremony mein 936 grams ke valuable jewellery, jiski keemat ₹84,15,300 thi, 12 two-wheelers (₹6,35,000), 3 three-wheelers (₹2,25,000), 3 four-wheelers (₹26,10,000), 344 mobile phones (₹32,52,500), 3 electronic items (₹3,43,775), aur ₹12,94,622 cash wapas kiye gaye.
Total ₹1.67 crore ka samaan 389 original owners ko Zone 10 ke sabhi police stations ne milke wapas kiya.










