All NewsBreaking NewsMumbai

Mumbai Trans Harbour Link Par Car Se Utarkar Photobaazi Karne Wale 264 Motorists Ko Laga Fine

Mumbai Trans Harbour Link Par Car Se Utarkar Photobaazi Karne Wale 264 Motorists Ko Laga Fine

Pichle Friday ko Desh ka sabse bada Sea Link Bridge Mumbai Trans Harbour Link (MTHL) ka PM Narendra Modi ne inauguration kiya

WATCH GALLINEWS SHORTS VIDEO

Advertisement

South Mumbai ko Navi Mumbai se jodne wale MTHL Bridge ka travel Experience lene ke liye hazaron logon ne Saturday aur Sunday ko iss bridge se travel kiya

Kuch Travelers ne iss bridge ki aur Samundra ki khubsurti ka maza lete hue gaadi rok kar Selfie photo lene lage aur dekhte hi photobaazi karne walon ki car ki bheed lag gayi bridge par

MMRDA ne Bridge par rukne aur Photobaazi karne se mana kiya tha iske baujood log Photo lene ke liye Bridge par jama hue logon par Traffic Police ne karwai kiya

Advertisement

Mili jankari ke anusar 120 Motorists par karwai ki gayi under guidance of South central division ACP Abdul Sayyed aur Wadala traffic division ke API Sharad Patil & team ne

Wahin Navi Mumbai traffic police Tirupati Kakde ne bataya ke Sunday shaam tak 144 Motorists par karwai ki jaa chuki hai

MTHL Sea Link par 100 KMPH ki speed tay ki gayi hai gaadi rokna aur photobaazi karne par pabandi lagayi gayi hai

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker