Mumbai Trans Harbour Link Par Maximum Speed Limit 100 Kmph, Motorbikes, Autorickshaws Aur Tractors Not Allowed
Mumbai ka most awaited road project Mumbai Trans Harbour Link jo Atal Setu ke naam se bhi jaana jaata hai kal yaani 12 January se Public ke liye open kardiya jayega
Contents
WATCH GALLINEWS SHORTS VIDEO
Mumbai Traffic Police ne bataya ke iss Mumbai Trans Harbour Link par sabhi gaadiyon ki Maximum Speed Limit 100 kmph tay ki gayi hai, han Flyover Bridge ke ascend aur descend ares me 40 kmph ki speed se gaadi chalana hoga
Mumbai Traffic Police ne yeh bhi bataya ke iss MTHL Flyover Bridge par Motorbikes, Autorickshaws, Three Wheeler Tempo, tractors aur Trollys ko Entry nahi hai
Iss Flyover Bridge se travel karne wale Light Motor Vehicles ko Rs 250 Toll chukana hoga aur Mini Bus, 2 Axel, Multi Axel ko uss se bhi zyada pay karna hoga