Naag Ko Doodh Na Pilayen, Nagpanchami Par Madhya Pradesh Forest Department Ne Logon Ko Appeal Kiya, Na Mannne Walon Par Karwai Ho Sakti Hai
Iss Saal 9 August Ki Nagpanchami Ka Tyohar Manaya Jaane Wala Hai Jisme Naag Devta Ko Doodh Pilane Ki Parampara Hai Lekin Jankaron Ka Mannna Hai Ke Saanp Doodh Nahi Peeta, Doodh Sanp Ki Diet Ka Hissa Nahi Hai
View this post on Instagram
Iss Andhsharddha Ke Tehat Har Saal Bahut Saare Naag Pakde Jaate Hain, Doodh Pilaye Jaane Se Beemar Padte Hain Aur Maare Jaate Hain
Madhya Pradesh Forest Department Ne Naag Ko Bachane Ke Liye Iss Saal Bhopal Me Nagpanchami Par Awareness Campaign Shuru Kiya Hai
Jisme Logon Ko Appeal Kiya Ja Raha Hai Ke Log Gharon Me Ya Mandir Me Naag Devta Ki Murti Ki Pooja Karen Sath Hi Bataya Ja Raha Hai Ke Baat Na Mannne Walon Ke Khilaf Kanooni Karwai Ki Jayegi