Pakistan Mein Ek Security Guard Ne Tik Tok Video Banane Per Goli Maar Di.
Aaj ki generation technology k bina guzara nahi kar sakti mojuda waqt k nojawan akasar apna zayada tar waqt social media par bitate h lekin kabhi aap n suna h k is k istemal karne par qatal bhi kiya ja sakta h ?
darasal Pakistan ke Suba Punjab ke nazmabaad M mangal ki raat ek mobile phone ki dukaan k security guard ne ek no jawan ladke ko sirf is baat par goli maar di kyu k wo tiktok par apna video bana raha that.
us ladke ka naam Saad Ahmad wald Mukhtar Ahmad tha, Police ko khabar milte hi police moqa par pohchi aur ladke ko Abaasi Shaheed Hospital m daakhil karwaya lekin tab tak Saad ki jaan ja chuki thi.
Police n security guard ko raifle samet giraftaar kar liya h. Gaurd s puch gachh karne par pata chala k ladka video banate hue baar baar camera us ki taraf kar raha tha jis ki wajah s use gussa agaya aur phir us n goli maar di.
Is report par aapki kya rai hai apne comments zarur kijiye aur desh videsh ki khabro k liye Galli news par bane rahiye.