Pakistani sadan me asaani se paas ho gaya Hindu Marriage Bill (17/2/2017)
Pakistan me rehne waale Hinduo ke liye Personal Law hoga. Sabhi MPs ke support se Hindu Marriage Bill 2017 pass huwa.
Mahilao ki Kidnapping, jabran dharm parivartan aur shaadi jaise gunaaho par Pakistan ne lagai nakel. Kaha ki Islami Sharyat me minorities ko unka haqq milna bhi zaruri.
Hindu Marriage Act Important Points:
1) Shaadi ki kamsekam umar 18 saal.
2) Sthanik local govt office se Hinduo ko shaadi ka Legal Document Shaadiparat milega.
3) Property me samaan haqq milega.
4) Divorce lene ke liye, Hindu mahila ko koi adchan nahi ayegi.
5) Divorce ya pati ki maut ke 6 mahine baad, Hindu mahilaye dobara shaadi kar sakti hai.
6) Shaadi ke baad apna haqq nahi milne par, Hindu mahila court me jaa sakti hai.
7) Pehli patni ke hote, Hindu purush dusri mahila se shaadi nahi kar sakta.
8) Hindu Marriage Act ka ulanghan karne par sakt karwahi hogi.
National Assembly ke Minority member Dr. Ramesh Kumar Vankwani ne is mauke pe bayan diya, "Today, we are proud to be Hindu Pakistanis after the approval of the bill. Hindus will now be able to get registered their marriages and also apply for divorce under family laws."
(For More IMP News) like and follow on
https://m.facebook.com/gallinews/
https://twitter.com/gallinews?s=08
https://www.youtube.com/user/gallinews