Panvel Ke Shamshan Bhoomi Mein Paani Ki Taaki Mein Mila Sada-Gala Shav
Panvel ke Kopra gaon mein sthit shamshan bhoomi se ek chaukane wala mamla saamne aaya hai. Yahan shamshan bhoomi ke paani ki tanki mein ek sada-gala shav mila
aisa bataya jaa raha hai Santosh Tamboli ke 27 saal ke bhatije ka Guruvaar ko nidhan ho gaya tha. Antim sanskar ke liye parivaar aur rishtedaar Kopra gaon ki shamshan bhoomi pahunche the. Is dauran poore area mein tez badboo aa rahi thi, lekin kisi ko uska sahi kaaran samajh nahi aaya
Jaanch ke dauran log shamshan bhoomi mein bani paani ki tanki ke paas pahunche. Jab tanki ke andar dekha gaya to sabhi ke hosh ud gaye. Tanki mein ek vyakti ka sada-gala shav pada hua mila.