All NewsBreaking NewsMumbai

Prada Ko Kolhapuri Chappal Par Legal Jhatka, Bombay HC Mein PIL Se Maafi Aur Artisans Ke Liye Payout Ki Maang

Prada Ko Kolhapuri Chappal Par Legal Jhatka, Bombay HC Mein PIL Se Maafi Aur Artisans Ke Liye Payout Ki Maang

 

 

Advertisement
View this post on Instagram

 

A post shared by Gallinews India (@gallinews_com)

Advertisement

Italian luxury brand Prada ek bade controversy mein phas gaya hai! Bombay High Court mein ek Public Interest Litigation (PIL) file ki gayi hai, jisme Prada par Maharashtra ke iconic Kolhapuri chappal ke design ko copy karne ka aarop laga hai.

Ye PIL, Intellectual Property Rights advocate Ganesh S Hingmire aur Pune ke chhe lawyers ne 2 July 2025 ko daayar ki, jisme kaha gaya hai ki Prada ke Spring/Summer 2026 collection ke ‘Toe Ring Sandals’ Kolhapuri chappal se bilkul milte-julte hain, jo ek GI-tagged (Geographical Indication) product hai

In sandals ki keemat Rs 1 lakh per pair rakhi gayi hai, jabki asli Kolhapuri chappal artisans Rs 400-3000 mein banate hain.

PIL mein maang ki gayi hai ki Prada public apology maange aur Maharashtra ke artisans ko compensation de, kyunki unhone bina permission ke GI-protected design ka commercial use kiya

PradaControversy, KolhapuriChappal, BombayHighCourt, GIViolation, ArtisanRights, CulturalTheft, PILAgainstPrada, ToeRingSandals, LuxuryBrandCopy, MaharashtraHandicraft, PradaLegalCase, GeographicalIndication, IndianCrafts, PradaKolhapuri, ArtisanCompensation, FashionEthics, GalliNews, BreakingNews

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button