Qudrat Ka Qahar Cyclone Michaung Ke Chalte Tamil Nadu Andhra Pardesh Me Heavy Rainfall, Water Logging
Cyclone Michaung India ki taraf teezi se badh raha hai jiss se north coastal areas Tamil Nadu, Puducherry, Andhra Pradesh, Rayalaseema, Telangana, aur Odisha me mausam badlata hua dikhayi de raha hain
WATCH GALLINEWS SHORTS VIDEO
Cyclone Michaung ke chalte Tamil Nadu aur Andhra Pardesh ke bahut se areas me tez hawaon ke sath Baarish hui aur nichle areas me paani bharne laga
Tamil Nadu me logon ki safety ko dekhte hue iss toofan ke chalte aaj public Holiday declare kiya gaya hai
India Meteorological Department ne Karnataka me hravy rainfall hone ki sambhavna jaatayi hai aur bataya ke Cyclone Michaung 5 December ki dopehar ko Nellore aur Machilipatnam ke beech takra sakta hai
Chennai Meteorology Center ke Deputy Director General Balachandran ne bataya ke Chennai ke Tiruvallur, Kanchipuram, aur Chengalpattu Districts me 60 se 80 Km speed se tez hawyen chalegi aur heavy rain fall hone ki sambhavna hai sath hi Machwaron ko samundra me na jaane ki salah di gayi hai
Cyclone Michaung ke impact ko dhyan me rakhte hue East Coast Railway (ECoR) ne 54 train cancel kiya hai aur kuch Flights bhi Divert hui hain