All NewsBreaking NewsMumbaiPolitical Galli
Railway Station ke andar tak gaadi legaye UP ke Minister Dharampal Singh, Akhilesh Yadav bole accha hua Buldozer se station nahi gaye

Railway Station ke andar tak gaadi legaye UP ke Minister Dharampal Singh, Akhilesh Yadav bole accha hua Buldozer se station nahi gaye
Uttar Pardesh ke Cabinet Minister Dharampal Singh ki gaadi Lucknow station par handicaped logon ke liye bane ramp se guzarti dikhi jiska video social media par viral hone laga
Khabar yeh chali ke Uttar Pardesh ke Cabinet Minister Dharampal Singh ki Train choot na jaye issliye Minister saheb ki gaadi Lucknow station ke andar tak gayi thi
Khabar yeh bhi chali ke baarish ke chalte UP ke Minister Dharampal Singh ke joote khichad ma na lag jaye issliye unke driver ne Lucknow station par handicaped logon ke liye bane ramp par gaadi chada di aur minister ko Railway station ke andar tak drop kiya
Mantri ja ki gaadi ka video social media par viral hone ke baad mantri ji ne apni safai me kaha ke baarish hone ke chalte woh escalator tak gaye they
Yeh Video Wednesday ka bataya jaa raha hai jisme Lucknow station par Handicaped logon ke liye bane ramp me mantri ji ki fortuner car utarte hue dikhayi de rahi hai
Iss video ke viral hone ke baad aur news chalne ke baad Uttar Pardesh ke former CM Akhilesh Yadav ne social media par kaha ke accha hua ke buldozer se station nahi gaye they
Akhilesh Singh ke iss post ke jawab me Minister Dharampal Singh ne kaha ke hum Akhilesh ki tarah sone ka chamach lekar paida nahi hue hain jo poora kafila apne sath lekar chalte hain
Mili jankari ke mutabiq UP ke Minister Dharampal Singh ko wedneaday ke din Train No 13005 Hawra Amritsar Punjab mail pakad kar Lucknow Charbaug station se Bareli jaana tha
Hawra Amritsar Punjab mail train Lucknow station ke Platforn number 4 par aati hai issliye driver ne Handicaped ke liye bane ramp par gaadi chadha kar platforn no 1 ke escalator tak legaye jiss se Mantri Dharampal Singh ko kam chalna pade
Khabron ke anusar Gaadi ka video viral hone ke baad Lucknow RPF ne unkown Driver ke khilaf mamla darj kar iss mamle ki chanbeen kar rahi hai
Advertisement