Saudi Arab Ki Family Phansi Sand Desert Mein, Radiator Ka Paani Peekar Din Kaata Safely Rescued By Enjad Team
View this post on Instagram
Pichle Hafte Saudi Arab Ke Rehne Wali Ek Saudi Family Riyadh Se Qareeb 200 Km Ki Doorii Par Sand Desert Mein Gayii Aur Unki Car Sand Desert Mein Aisi Jagah Phans Gayii Jahan Door Door Tak Na Koi Insaan Tha Na Kahne Peene Ki Cheezein Aur Na Hi Mobile Network.
Khabron Se Mili Jankari Ke Anusar Saudi Volunteer Ki Team Enjad Jo Desert Mein Phanse Hue Logon Ko Rescue Karne Ka Kaam Kartii Hai Aur Iss Kaam Ke Liye Fully Digital Equipment Use Kartii Hai.
Enjad Ki Team Ne Jab Apne Drone Mein Dekha Ke Kuch Log Sand Desert Mein Phanse Hain, Toh Unhe Rescue Karne Ke Liye Team Ne Safely Family Ke Sabhi Logon Ko Desert Se Bahar Nikala.
Bataya Ja Raha Hai Ke Desert Mein Phanse Parivar Ke Logon Ne Car Ke Radiator Ka Paani Peekar Aur Plants Ke Patte Khakar Din Kaata.
Rescue Kiye Hue Parivar Ke Sabhi Log Healthy Hain.