Monday, October 26, 2026

BREAKING

International NewsAll NewsBreaking NewsMumbai

Saudi Arabia Jaane Wale Indian Workers Pareshan, Flight Band Hone Aur Mehange Tickets Se Badhin Mushkilein.

Saudi Arabia Jaane Wale Indian Workers Pareshan, Flight Band Hone Aur Mehange Tickets Se Badhin Mushkilein.

Saudi Arabia mein maujooda halaat aur flight services mutasir hone ki wajah s naukri aur karobar ke liye Saudi jaane wale Indian workers ko kaafi mushkilaat ka saamna karna pad raha hai.

Flight services band ya temporarily suspend hone ki wajah se logon ko doosre raaston se safar karna pad raha hai.

Isse safar ka waqt badhkar 20 se 24 ghante tak ho raha hai, jabki Saudi Arabia se Mumbai ka seedha hawai safar aam taur par sirf 4 se 4.5 ghante ka hota hai.

Iske alawa, hawai tickets ki keematon mein bhaari badhotri ne bhi musafiron ki pareshani badha di hai.

Emergency mein safar karne walon ke liye ticket ka kharcha ek badi dikkat ban raha hai.

Iska asar Saudi Arabia mein naukri ke liye workers bhejne wale recruitment business, Umrah par jaane wale zaireen aur tour operators par bhi pad raha hai.

Ab logon ko umeed hai ki flight services jald bahal hongi aur safar ke kharche mein kami aayegi, taaki naukri ke liye Saudi Arabia jaane wale workers ko rahat mil sake.

Aapki kya rai hai? Overseas naukri ke liye jaane wale workers ki in mushkilaat ko kam karne ke liye kya intizamaat hone chahiye?

Related Posts

1 of 19,338

Discover more from Gallinews India

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading