
Social Media Janch Ke Baad Hi Milega US Visa, Naya Rule Aa Gaya!
AdvertisementView this post on Instagram
ab US visa ke liye social media janch zaroori ho gayi hai. US Embassy ne announce kiya hai ki F, M, aur J visa categories (students, vocational, aur exchange visitors) ke applicants ko apne social media accounts public karne honge
Yeh janch isliye hai taaki US officials check kar sakein ki koi bhi applicant unke citizens, culture, ya government ke khilaaf hostility ya terrorist activity mein involved toh nahi hai.
Ab tak 2019 se social media handles mangne ka rule tha, lekin ab screening aur strict ho gaya hai. Applicants ko 5 saal purane posts tak check karne honge, aur koi bhi suspicious content—jaise extremist views ya antisemitic posts—visa denial ka kaaran ban sakta hai
Agar aap apna account public nahi karte ya jhooth bolte hain, toh visa reject ho sakta hai.
usvisa, socialmediascreening, usvisarules, studentvisa, f1visa, j1visa, m1visa, usimmigration, visaupdate2025, gallinews, embassyrules, visadenialrisk, socialmediacheck, usconsulate