TB Ke Mariz BMC Ke Sewri Hospital Se Bhag Rahe Hain, Pichle Saadhe Teen Saal Me 83 Mariz Bina Bataye Bhag Gaye
Mumbai Ko TB Ki Beemari Se Mukt Karne Ke Liye Sewri Area Me BMC Ne TB Ke Marizon Ke Liye Ek Alag Se Hospital Banaya Hai, Jahan Mumbai Aur Aaspass Ke Thane Palghar Se Bhi Log Aate Hain Illaj Karane.
View this post on Instagram
Ek Report Ke Mutabiq 2021 Se 2024 Ke Beech Saadhe Teen Saal Me Qareeb 83 Mariz Jo Hospital Me Illaj Kara Rahe They, Hospital Ko Bina Bataye Hi Bhaag Gaye.
Kyonki TB Ki Beemari Se Recover Hone Me Kaafi Din Lagta Hai Aur Itne Din Tak Mariz Ko Hospital Me Rehna Hota Hai. Mariz Hospital Me Reh Reh Kar Uktaa Jaate Hain.
Bataya Jaa Raha Hai Ke Pehle Hospital Me TB Ke Mariz Ki Boriyat Door Karne Ke Liye Alag Alag Type Ke Manoranjan Ke Program Hote They Jo Ab Bandh Hogaye.
TB Ke Mariz Ke Hospital Se Bhaag Jaane Ki Alag Alag Wajah Me Se Akelapan, Depression Aur Parivar Ka Sath Na Hona Bhi Mana Jaa Raha Hai.
Report Me Yeh Bhi Bataya Gaya Hai Ke Pichle Saadhe Teen Saal Me 1500 Se Zyada Marizon Ne Doctors Se Zidd Karke Discharge Liya Hai.