All NewsBreaking NewsMumbai

Waqf Amendment Case Mein Supreme Court Ka Bada Order.

Waqf Amendment Case Mein Supreme Court Ka Bada Order.

Waqf (Amendment) Act ke khilaf chal rahi badi kanooni ladai mein aaj Supreme Court se ek bohot aham khabar samne aayi hai.

Waqf properties ki hifazat ko lekar aaj SC mein sunwai hui, jahan court ne aage ki puri kanooni prakriya aur timeline set kar di hai.

Mumbai ke jaane-maane social activist Jamil Merchant ki writ petition mukhya 5 petitions mein se ek hai, jinhe Supreme Court ne is aham sunwai ke liye pehle hi chun liya tha.

Jamil Merchant ka paksh unke vakil Adv. Ejaz Maqbool bohot majbooti se rakh rahe hain, aur sabse khaas baat yeh hai ki SC ne Adv. Ejaz Maqbool ko hi is pure case mein ‘Nodal Officer’ ki badi zimmedari saunpi hai.

Aaj Court Room Mein Kya Order Pass Hua? Aaiye dekhte hain main updates:

Writ Petition File Karne Ka Waqt:

Supreme Court ne sabhi 135 aavedakon ko badi raahat di hai jinhone pehle interim applications lagayi thi. Court ne order diya hai ki wo ab aaj se 2 hafte ke andar apni writ petitions file kar sakte hain.

Nodal Officer Ejaz Maqbool Ka Role:

Nodal counsel hone ke naate, Adv. Ejaz Maqbool ko yeh nirdesh mila hai ki unhe naye documents ki copy receive karni hai aur sabhi petitioners dwara diye gaye pichle important court judgments ko ek sath compile karke court ke samne pesh karna hai.

Sarkar Ko Jawab Dene Ka Nirdesh:

Court ne sarkar ka paksh rakh rahe Additional Solicitor General ko nirdesh diya hai ki wo petitioners ki taraf se pesh ki gayi written submissions par apna Jawab file karein.

31 December Ki Deadline:

Court ne strict order pass kiya hai ki affidavits aur rejoinders sahit is case ki saari paper-work (pleadings) har haal mein 31 December 2026 tak mukammal ho jani chahiye.

January 2027 Mein Hogi agli sunwai :

Batadein,
Saari tayariyan puri hone ke baad, ab Supreme Court is pure mamle ki agli aur sabse badi sunwai January 2027 ke second week mein karega.

Petitioner Jamil Merchant ki or se unki legal team jisme SC Sr Adv. Rajiv Dhavan, SC Adv. Ejaz Maqbool, Mumbai se Adv. Burhan Bukhari or Adv Saif Khan kafi majbooti ke sath unka paksh rakh rahe hai,

Waqf properties ko bachane ki disha mein ek bohot strong point maana ja raha hai.

Adv. Ejaz Maqbool ke netritva mein ab January 2027 ki sunwai behad nirnayak hone wali hai, jahan Waqf (Amendment) Bill ka aage ka mustaqbil tay hoga.

Waqf properties ki hifazat aur Waqf Amendment Act ke mustaqbil par Supreme Court ka agla faisla aham hoga. Is maamle mein aapki kya rai hai? Apni rai comments mein zaroor batayein aur more updates ke liye Galli News par bane rahiye.”

Related Posts

1 of 19,460