WhatsApp Par Director Bankar ₹1.98 Crore Ki Thagi, Mumbai Police Ne ₹1.83 Crore Bachaye.
Mumbai mein cyber fraudsters ne ek private company ke Accounts Manager ko WhatsApp par company ka director bankar ₹1.98 crore transfer karne par majboor kiya.
Fraud ka pata chalte hi Mumbai Police ki Cyber Helpline 1930 aur South Division Cyber Police ne turant karwai ki aur ₹1,83,03,492 yani lagbhag 92% rakam freeze/recover kar li.
Maamle ki jaanch jaari hai.