Woman Reservation Bill Rajyasabha Me 100 Percent Votes Se Pass Hua PM Modi Ne Sabhi Ko Thanks Kaha
Desh me chal rahi Special Parliment Session ke dusre din BJP ne Nari Shakti Vandan Adhiniyam 2023 –
GALLINEWS SHORTS PRESS LINK
Womans Reservation Bill pesh kiya tha jispar Loksabha me charcha hone ke baad sabhi Partyion ne voting kiya tha
Loksabha me Womans Reservation Bill poore bahumat 454 Votes se pass hua sirf AIMIM ke 2 MP ne iss bill ka Virodh kiya tha jiske baad Thursday ko yeh Bill Rajyasabha me pesh hua
Rajya Sabha me din bhar iss bill par charcha hone ke baad raat 10 baje Voting hui aur 100 Percent Votes se desh me Nari Shakti Vandan Adhiniyam 2023 –
Womans Reservation Bill pass hogaya
Rajyasabha me Maujood sabhi 215 Sansad ne iss bill ko manzoori di kisi ne bhi Nari Shakti Vandan Adhiniyam 2023 – Womans Reservation Bill ka virodh nahi kiyav
Nari Shakti Vandan Adhiniyam 2023 Bill poori tarah pass hojane ke baad President of India Droupadi Murmu ke pass bheja jayega Signature ke liye
PM Narendra Modi ne Nari Shakti Vandan Adhiniyam 2023 – Womans Reservation Bill pesh hone ke baad sabhi sahyogi party aur opposition party ka samarthan milne par sabhi party ke logon ko Dhanyawad kaha
Nari Shakti Vandan Adhiniyam 2023 – Womans Reservation Bill lagoo hone ke baad Loksabha Election aur poore desh me hone wale State Assembly Election me 33 percent seat Mahilaon ke liye reserve ki jayengi