1.5 Crore Covid19 Vaccine Dose de chuke logon ko BMC Staff & Medical Team ne
Mumbai main ab tak 1 Crore 50 Lakh Covid19 Vaccine Dose logon ko lagane ka kaam kiya hai BMC ke staff aur Medical team ne
BMC ne 1 letter issue kar ke bataya ke Mumbai main 16 January 2021 se Covid19 Vaccination Drive shuru hua tha aur 5th May tak sirf 25 Lakh Dose hi di gayi jiske baad logon ne speed dikhaya aur 26 June tak 50 Lakh vaccine poore hua
7 August tak 75 lakh, 4 September tak 1 Crore, 28 September tak 1.25 Crore aur ab 10 November ki shaam tak 1.5 Crore
Mumbai main ab tak 92,04,950 logon ne First dose liya hai aur 58,62,933 logon ne Covid19 Vaccine ke dono dose le chuke hain







