Autorickshaw Meter Ki Reading Full Speed Me Social Media Par Video Post Karne Ke Baad Driver Par Mumbai Traffic Police Ki Karwai
Mumbai Airport se Chunna bhatti ke liye Autorickshaw pakda passenger ne
GALLINEWS SHORTS PRESS LINK
View this post on Instagram
Kuch hi door pohanchne par meter reading Rs 270 dikhane laga jiski video banane par Auto driver ne obejection lete hue passenger ko Auto se utaar diya
Fast speed se bhaag rahi Autorickshaw meter ki reading ka Video Passenger ne Social media par post kiya aur Mumbai Traffic Police se karwai ki manag kiya
Social Media par active Mumbai Traffic Police ne Auto driver ka pata lagaya aur under motor Vehicle Act ke tehat karwai kiya
Mumbai Traffic Police ne bataya ke Autorickshaw ka meter RTO ne test kiya jo faulty paaya gaya jiske baad Rs 4500 fine lagate hue Autorickshaw blacklist me daal diya gaya
Mumbai Traffic Police ne appeal kiya ke Faulty Meter dikhe toh complaint karo