International airportAll NewsBreaking NewsMumbai

Mumbai Airport Customs ki badi karwai, ₹42.42 crore ka sona, drugs aur smuggled samaan zabt; 83 cases darj, 27 log giraftar.

Mumbai Airport Customs ki badi karwai, ₹42.42 crore ka sona, drugs aur smuggled samaan zabt; 83 cases darj, 27 log giraftar.

Mumbai ke Chhatrapati Shivaji Maharaj International Airport par Customs Department ne 4 se 19 November 2026 ke beech smuggling ke khilaf karwai karte hue kul ₹42.42 crore ka samaan zabt kiya.

Is dauran 83 cases darj kiye gaye aur 27 logon ko giraftar kiya gaya.

Customs ke mutabiq, is karwai mein 17.909 kg sona, jiski keemat ₹22.01 crore hai, aur 56.433 kg narcotics, jiski keemat ₹19.75 crore batayi gayi hai, zabt ki gayi. Iske alawa 17,000 US Dollar ki foreign currency, 24 mobile phones (23 iPhone aur ek Samsung), 1.250 kg silver bars aur 2,000 cigarette sticks bhi zabt ki gayin.

Wildlife smuggling ko rokne ke dauran 27 Shamo chicken eggs bhi baramad kiye gaye.

Mumbai Customs ne bataya ki ye karwai smuggling par rok lagane aur desh ke revenue aur security ko protect karne ke liye ki gayi.

Batadein ki Maamle mein aage ki jaanch jaari hai.

Related Posts

1 of 19,788