Azan loudspeaker par bandh karwane ke liye BJP lodha and group pahuche CP Mumbai Ke pass
BJP ka sahare me Loudspeaker se azan par pabandi ka mutalab
Theek Ramzan shuru hone se pehle BJP ke Mumbai President Mangal Parbhat Lodha ne Mumbai Police Commissioner Sanjay Pandey se mulaqat kar Mumbai ki masjid me lage Loudspeaker se hone wale Sound Pollution ko khatam karne ki maang ki
Press Link For Video
Managal Prabhat Lodha ke saath Atul Bhatkhalkar, Kalidas Kolambkar, ne Mumbai CP ko khat diya jisme kaha ke Mumbai me Sound Pollution kam karne ke liye nayi nayi yojna banayi jarahi hai issme sound pollution ki ek wajah Loudspeaker par di jaane wali azan bhi hai
Mumbai CP Sanjay Pandey ne kuch din pehle sabhi builders ko Construction site par sound pollution ko rokne ka order dete hue sound screen lagane kaha tha aur BJP ke Mangal Parbhat Lodha ek jaane mane builder hain
Halanke Mangal Prabhat Lodha ne apne khat main yeh bhi likha hai ke koi Azaan ke khilaf nahi hai lekin Loudspeaker par azan diye jaane se Sound Pollution hota hai
Mangal Prabhat Lodha ne khat me yeh bhi likha ke aane wale tyohar 2 April ko Gudipadwa 10 April ko Ramnavmi 14 April ko Dr Baba Saheb Ambedkar Jayanti aur 16 April ko Hanuman Jayanti celebrate karne ki izazat di jaye