All NewsBreaking NewsMumbai

Baba Siddique Murder Case: Aaropi Chetan Pardhi Ki Interim Bail Arzi Kharij, Court Ne Ek Din Ki Police Escort Visit Ki Ijazat Di.

Baba Siddique Murder Case: Aaropi Chetan Pardhi Ki Interim Bail Arzi Kharij, Court Ne Ek Din Ki Police Escort Visit Ki Ijazat Di.

Mumbai ki Special MCOCA Court ne Baba Siddique murder case ke aaropi Chetan Pardhi ki interim bail ki arzi kharij kar di.

Aaropi ne apni 103 saal ki pardadi ke inteqal ke baad hone wali rasmon mein shamil hone ke liye 8 din ki bail maangi thi. Court ne case ki gambhirta aur aaropi ke khilaf maujood prima facie sabooton ko dekhte hue bail dene se inkar kar diya.

Halaanki, insani bunyaad par court ne 9 August ko ek din ke liye police escort ke saath ghar jaane ki ijazat de di, taaki woh parivar ki rasmon mein shamil ho sake.

Related Posts

1 of 19,685