Maharashtra Mein Private Gadiyon Par ‘Police’ Sticker Lagana Padega Mehenga, Traffic Police Ka Sakht Action.
Maharashtra Traffic Police ne private two-wheelers aur four-wheelers par “Police” sticker, logo ya name plate lagane ke khilaf sakht action lene ke orders jaari kiye hain.
Traffic Department ne state ke sabhi Police Commissioners aur Superintendents ko special checking drive chalane ke nirdesh diye hain. Agar kisi private vehicle par bina adhikar “Police” likha ya police ka logo laga mila, to Motor Vehicles Act aur Maharashtra Motor Vehicle Rules ke tahat kanooni karwai ki jayegi.
Sarkar ka kehna hai ki is faisle ka maqsad police ki pehchan ke galat istemal ko rokna, traffic checking ko mazboot banana aur kanoon ka barabar palan sunishchit karna hai.